What is Java and Basic tags of Java Programming

Java object oriented programming language hai, jise Sun Microsystems ne year 1991 me develop kiya tha. Starting me Java ka name oak rakha gaya tha baad me ise badalkar Java rakh diya gaya. Java language ka use high level software banane ke liye kiya jata hai.

Java language ko seekhne se pahle aapko C and C++ programming language ki knowledge hona bahut jaruri hai, tabhi aapko Java language badhiya se samajh me aayegi. Jab tak kisi programming language ke basic code ki jankari nahi hogi, program execute nahi hota hai.

f:id:hindimepost:20190911003905j:plain

Java language ka istemaal application development, games development, animation development me kiya jata hai.

Features of Java in Hindi

Java ke bahut se popular features hote hai –

Compiled and Interpreted –

Sabhi programming language me pahle programs compile or interpreted hota ho aur phir execute hota hai. Lekin Java programming language two stage me work karti hai. First stage me program ko compiler karti hai jisse program byte code me conver ho jata hai. Ab second stage me is byte code program ko interpret ho jata hai jise directly execute kiya ja sakta hai.

Platform Independent

Java programming ko copile karne ke dauran program byte code me convert ho jata hai. Is byte code ko run karne ke liye aapke computer me JVM (Java Virtual Machine) install karna padega. Sabhi version ke operating system ke liye alag alag JVM hote hai lekin work sabhi JVM ka same hota hai byte code program ko machine code me convert karna.

Isliye kisi bhi Operating System ke JVM dwara generate kiye gaya byte code kisi doosre Operating System me easily Run kiya ja sakta hai.  

Object Oriented

Java OOPS (Object Oriented Programming Language System) ke concept ko follow karti hai. Java me har jagah par Object use hote hai.

Robust and Secure

Java bahut reliable and secure language hai. Yadi user exeperence ke hisab se baat ki jaye to yeh ek Robust programming language hai jisme ek platform me banaya gaya programs ko dusre platform me asani se Run kiya ja sakta hai bina kisi problems ke.

Simple and Familiar

Java me bahut se features C and C++ programming language ke hai jisse coding karne me aasani hoti hai. Iske code ko user friendly hote hai jisse asani se samjha ja sakta hai.

First “Hello Program of Java”

public class HelloWorld {

    public static void main( String[] args ) {

        System.out.println( "Hello World!" );

        System.exit( 0 ); //success

    }

}

Output :-

Hello, World!

I hope apko yeh post what is Java in Hindi jarur achi lagi hogi. Aur computer programming language in Hindi me janne ke liye humari website ko visit Karen.