Flipkart Affiliated Program SE Paisa Kamane ke Tarike

f:id:hindimepost:20180926033859j:plain

Flipkar India ki sabse jyada popular Online Shopping website hai. Saal 2007 me Flipkart ko Sachin Bansal aur Binny Bansal ne banaya tha. Shuruat me Flipkart ko online Book sell karne ke liye banaya tha lekin ab isme subah se sham tak ke sabhi jaruri cheeje aapko Flipkart par mil jayengi jaise Clothes, mobile, Television, shoes, watche,Home furnishing etc .

Flipkart Affiliated Program Se Paise Kaise Kamaye

Yadi aapke paas koi Blog/ website hai to usme Flipkart Affiliated Program ke Ads lagakar achche paise kama sakte ho. Yadi apke paas website or blog nahi hai to ghabrane ki jarurat nahi hai aap social media jaise Facebook, Whatsapp ,twitter etc se bhi bahut achcha paisa kama sakte ho bas aapko Flipkart Affiliated Program ke link ko share karna hai aur yadi ko friends is link par click karke us product ko Buy karega to Flipkart apko 5%-10% commission dega.

Flipkart se Paise earn karne ke liye aapke pass do option hoti hai. First Flipkart paise direct apke bank account me transfer kar dega and second Flipkar par aap shopping kar sakte hai.

1.Gift Voucher – Flipkart se aap jitna paisa kamayenge wo aapko nahi milega uske badle me aap Flipkart se shopping kar sakte ho. Lekin yaha par ek condition hai hi Aapka payment 250 rs hona chahiye tabhi aap Flipkart se shopping kar sakte ho.

2. EFT – EFT ka full form Electronic Fund Transfer hai. Is process me Flipkart company aapke account me direct paise transfer kar dega. Lekin aapki earning minimum 1000 rs honi chahiye tabhi Flipkart paise transfer karega account me.

Flipkart ek achchi facility deta hai ki aap apne man se koi bhi product Flipkart par search kar uska link or banner ads apni website me lagakar sell karwa sakte hai.

Isi prakar se Make money post paane ke liye humare blog Hindi Me Post visit kar sakte hai. Yaha par SEO, Affiliated marketing, internet and technology se judi information share ki jaati hai.